Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta

jahan bhar mein mere dil sa koi ghar ho nahin sakta

ki aisi KHak par aisa samundar ho nahin sakta

rawan rahta hai kaise chain se apne kinaron mein

ye dariya meri betabi ka mazhar ho nahin sakta

kisi ki yaad se dil ka andhera aur baDhta hai

ye ghar mere sulagne se munawwar ho nahin sakta

bahut be-tab hota hun main us ko dekh kar lekin

sitara teri aankhon se to baDh kar ho nahin sakta

ye mauj-e-umr har shai ko bahut tabdil karti hai

magar jo sans leta hai wo patthar ho nahin sakta

main us duniya mein rahta hun ki jis duniya ke logon ko

KHushi ka ek lamha bhi mayassar ho nahin sakta

(1311) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Jahan Bhar Mein Mere Dil Sa Koi Ghar Ho Nahin Sakta in PDF.