Kahin Mohabbat Ke Aasman Par Visal Ka Chand Dhal Raha Hai

kahin mohabbat ke aasman par visal ka chand Dhal raha hai

charagh ke sath taqche mein gulab ka phul jal raha hai

bahut dinon se zamin apne madar par bhi nahin hai lekin

abhi wahi sham chha rahi hai abhi wahi din nikal raha hai

mujhe yaqin tha main in sitaron ke sae mein umr bhar chalunga

bahut hi aahistagi se lekin ye sara manzar badal raha hai

kabhi mohabbat se baz rahne ka dhyan aae to sochta hun

ye zahr itne dinon se mere wajud mein kaise pal raha hai

kahin rawani mein baDh rahe hain kahin sitare ruke hue hain

KHabar nahin kaenat ka ye nizam kis tarah chal raha hai

abhi guman tak nahin hai 'sajid' use main phir yaad bhi karunga

magar ye kyun aaine se haT kar wo aks bhi hath mal raha hai

(1230) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Mohabbat Ke Aasman Par Visal Ka Chand Dhal Raha Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. Kahin Mohabbat Ke Aasman Par Visal Ka Chand Dhal Raha Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem Kahin Mohabbat Ke Aasman Par Visal Ka Chand Dhal Raha Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download Kahin Mohabbat Ke Aasman Par Visal Ka Chand Dhal Raha Hai in PDF.