KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai

KHuda-e-bartar ne aasman ko zamin par mehrban kiya hai

magar mere KHwab ke nagar ko charagh ne KHush-guman kiya hai

suno ki main ne dhari hai sath-e-rawan pe ek Dolti imarat

aur ek sham-e-tarab ko shahr-e-malal ka pasban kiya hai

mujhe yaqin hai ye subh-e-nau bhi mere sitare ka sath degi

ki main ne ek ism ki madad se ghubar ko aasman kiya hai

ye sach hai meri sada ne raushan kiye hain mehrab par sitare

magar meri be-qarar aankhon ne aaine ka ziyan kiya hai

nigah-e-nam-nak ko lahu ne kiya hai majbur dekhne par

aur ek rabt-e-KHafi ko rasm-e-mughairat ne jawan kiya hai

kahin nahin hai masafat-e-umr mein kisi KHwab ka paDaw

so main ne is be-kanar sahra pe abr ka saeban kiya hai

sitar-e-KHwab se bhi baDh kar ye kaun be-mehr hai ki jis ne

charagh aur aaine ko apne wajud ka raaz-dan kiya hai

(1085) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai In English By Famous Poet Ghulam Husain Sajid. KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai is written by Ghulam Husain Sajid. Read famous Poem KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai for youth and Student by Ghulam Husain Sajid. Free Download KHuda-e-bartar Ne Aasman Ko Zamin Par Mehrban Kiya Hai in PDF.