Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum

ai KHar KHar-e-hasrat kya kya figar hain hum

kya haal hoga us ka jis dil mein KHar hain hum

har chand dil mein tere zalim ghubar hain hum

kitne dabe hue hain kya KHaksar hain hum

kya jaane kya dikhae kam-baKHt raaz-e-dushman

be-iKHtiyar ho tum aur be-qarar hain hum

wan shoKHiyon ne mare nakaam kaise kaise

yan sadgi se kya kya umid-war hain hum

ne raKHt mai-kade mein ne kabe ka irada

hain dil lagi ke bande yaron ke yar hain hum

wan sarguzisht-e-dushman wo kah rahe hain munh par

yan be-KHudi hai is par kya raaz-dar hain hum

saqi teri nigahen kab tak rahengi palTi

hai nashsha zahidon ko aur baada-KHwar hain hum

kaba hai sang-e-baalin zohad-e-KHufta dil ka

aur mai-kade ke andar shab-zinda-dar hain hum

allah re zarf-e-dil ka sab ki jagah hai is mein

be-gham rahe hai dushman kya gham-gusar hain hum

ai hashr bach ke chalna ai charKH haT ke girna

hai barq saya jis ka wo KHar-zar hain hum

itni KHalish mizha ki ab baDh gai ki goya

zaKHm-e-dil-e-adu mein KHanjar-guzar hain hum

kab tak rahega dushman jame se apne bahar

ho aag aag jis se tum wo sharar hain hum

dushman ki jeb mein tum sabr-o-shakeb mein hum

tum dast-e-kotahi ho pa-e-nigar hain hum

wadi-e-justuju se guzrin to kya ajab hai

warafta kaise kaise lail-o-nahaar hain hum

kya baada-e-jawani mard-azaman nasha tha

ab ai 'qalaq' wabaal-e-KHwab-o-KHumar hain hum

(865) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Ai Khaar Khaar-e-hasrat Kya Kya Figar Hain Hum in PDF.