Ai Sitam-azma Jafa Kab Tak

ai sitam-azma jafa kab tak

kushta-e-zindagi wafa kab tak

garmi-e-koshish-e-jafa kab tak

dawa-e-shohrat-e-wafa kab tak

ai dil-e-zohd-KHu riya kab tak

na-muradana muddaa kab tak

ek mein mil gaya KHuda mara

yun nibahega dusra kab tak

imtihan par ye imtihan ta-chand

aazma aazmaega kab tak

hasrat aaegi dam mein sau sau bar

ai hawas shor-e-marhaba kab tak

qudrat-e-sabr aaqibat kitni

jurat-e-taqat-azma kab tak

tum samajh jao meri KHamoshi

na kahun kahiye muddaa kab tak

kijiye ab mere nibah ki fikr

yar sabr-e-gurez-pa kab tak

KHwab mein bhi wo aaenge ta-chand

main mila bhi to yun mila kab tak

dil mein kab tak tumhaare khaTkunga

chashm-e-dushman mein meri ja kab tak

tandurusti-e-dil hai be-jaani

dard-e-be-dard ki dawa kab tak

tark ki saf us ne goyai

nargis-e-surma-sa KHafa kab tak

ai dil-e-be-qarar-o-be-aram

nala ta-chand ta-kuja kab tak

ai 'qalaq' wasl mein bhi hun nashad

tala-e-na-rasa rasa kab tak

(834) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Sitam-azma Jafa Kab Tak In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Ai Sitam-azma Jafa Kab Tak is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Ai Sitam-azma Jafa Kab Tak for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Ai Sitam-azma Jafa Kab Tak in PDF.