Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam

naqsh-bar-ab nam hai sail-e-fana maqam

is KHanuman-KHarab ka kya nam kya maqam

har roz taza manzil o har shab naya maqam

mohlat nahin qayam ki duniya hai kya maqam

ja mil gai jise teri diwar ke tale

hai us ko gor-e-tang bhi ek dil-kusha maqam

Darte hain hum to nam bhi lete hue tera

tu hi bata ki puchhiye kyunkar tera maqam

insan ki sarisht mein hai uzr-e-lang-e-zoaf

sabit hua ki dur hai mujh se mera maqam

andaza hi ghalat tha magar imtiyaz ka

yani mahall-e-ghair hi tha aap ka maqam

khilta nahin kabhi na kabhi saf hi rahe

kis tarah ho subut ki dil hai tera maqam

waiz munazat ka sabab mujh mein tujh mein kya

masjid tera mahal hai mera mai-kada maqam

yan wan idhar udhar yun hi gir-paD ke ki basar

misl-e-ghubar-e-rah raha ja-ba-ja maqam

ai ahl-e-dair zikr-e-haram tum se ya karen

puchho buton hi se kabhi kaba bhi tha maqam

kya kya bayan jahan ke karen amn-o-chain ko

us ke bhi dar pe apna to muddat raha maqam

kya jaaniye 'qalaq' ki irada hai apna kya

matlab se kuchh safar na sar-e-muddaa maqam

(649) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download Naqsh-bar-ab Nam Hai Sail-e-fana Maqam in PDF.