UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban

uDaun na kyun tar-tar-e-gareban

ki parda-dari hai shiar-e-gareban

har ek tar hai dast-gir-e-tamasha

kiya zoaf ne sharmsar-e-gareban

katan-o-gul-o-sina-e-ahl-e-hasrat

bahut chiz hain yaadgar-e-gareban

agar dushmani baKHiya-gar ko nahin

to kyun is qadar dost-dar-e-gareban

yahin qaid-e-rasm KHalaiq pasand

har ek sans hai KHar-KHar-e-gareban

wafa hai meri pesh-dast-e-salasil

tera parda hai pesh-kar-e-gareban

ye uDne mein chaalak har para hai

ram-e-dasht-e-wahshat shikar-e-gareban

kabhi koh mein dasht mein hai kabhi

nahin kuchh gulu par madar-e-gareban

'qalaq' kyun ke parda na uThta hamara

ki hai baKHiya-gar raaz-dar-e-gareban

(779) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban In English By Famous Poet Ghulam Maula Qalaq. UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban is written by Ghulam Maula Qalaq. Read famous Poem UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban for youth and Student by Ghulam Maula Qalaq. Free Download UDaun Na Kyun Tar-tar-e-gareban in PDF.