Aafaq Mein Phaile Hue Manzar Se Nikal Kar

aafaq mein phaile hue manzar se nikal kar

chaha tujhe maujud-o-mayassar se nikal kar

din se bhi uThate nahin hum raat ke parde

KHwabon ke taaqub mein hain bistar se nikal kar

diwar ke sae mein bhi ek shahr hai aabaad

dekha hi nahin tu ne kabhi ghar se nikal kar

chashme pe jo pani ke liye hath baDhaun

chingariyan aa jati hain patthar se nikal kar

pahchan rahi thi mujhe sahil pe bichhi ret

ek lahr chali aai samundar se nikal kar

(747) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aafaq Mein Phaile Hue Manzar Se Nikal Kar In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Aafaq Mein Phaile Hue Manzar Se Nikal Kar is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Aafaq Mein Phaile Hue Manzar Se Nikal Kar for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Aafaq Mein Phaile Hue Manzar Se Nikal Kar in PDF.