Aankh Se BichhDe Kajal Ko Tahrir Banane Wale

aankh se bichhDe kajal ko tahrir banane wale

mushkil mein paD jaenge taswir banane wale

ye diwana-pan to rahega dasht ke sath safar mein

sae mein so jaenge zanjir banane wale

us ne to dekhe an-dekhe KHwab sabhi lauTae

aur the shayad TuTi hui tabir banane wale

sone ki diwar se aage mere kaam na aae

sachche jazbe miTTi ko iksir banane wale

juzw-e-sher nahin hain 'qasir' juzw-e-jaan kar Dale

hum ko jitne dard mile the 'mir' banane wale

(909) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aankh Se BichhDe Kajal Ko Tahrir Banane Wale In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Aankh Se BichhDe Kajal Ko Tahrir Banane Wale is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Aankh Se BichhDe Kajal Ko Tahrir Banane Wale for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Aankh Se BichhDe Kajal Ko Tahrir Banane Wale in PDF.