Apne Ashaar Ko Ruswa Sar-e-bazar Karun

apne ashaar ko ruswa sar-e-bazar karun

kaise mumkin hai ki main midhat-e-darbar karun

dil mein maqtul ki taswir liye phirta hun

aur qatil se aqidat ka bhi izhaar karun

yahi manshur-e-mohabbat hai ki wo paikar-e-zulm

jis ko nafrat se nawaze main use pyar karun

ab mere shahr ki pahchan hai ek wada-shikan

shahriyat badlun ki tariKH ka inkar karun

raat bhar jag ke tamir karun qasr-e-umid

subh-e-takmil se pahle use mismar karun

(1429) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Apne Ashaar Ko Ruswa Sar-e-bazar Karun In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Apne Ashaar Ko Ruswa Sar-e-bazar Karun is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Apne Ashaar Ko Ruswa Sar-e-bazar Karun for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Apne Ashaar Ko Ruswa Sar-e-bazar Karun in PDF.