Baghair Uske Ab Aaram Bhi Nahin Aata

baghair us ke ab aaram bhi nahin aata

wo shaKHs jis ka mujhe nam bhi nahin aata

usi ki shakl mujhe chand mein nazar aae

wo mah-ruKH jo lab-e-baam bhi nahin aata

karunga kya jo mohabbat mein ho gaya nakaam

mujhe to aur koi kaam bhi nahin aata

biTha diya mujhe dariya ke us kinare par

jidhar hubab tahi-jam bhi nahin aata

chura ke KHwab wo aankhon ko rehn rakhta hai

aur us ke sar koi ilzam bhi nahin aata

(833) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghair Uske Ab Aaram Bhi Nahin Aata In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Baghair Uske Ab Aaram Bhi Nahin Aata is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Baghair Uske Ab Aaram Bhi Nahin Aata for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Baghair Uske Ab Aaram Bhi Nahin Aata in PDF.