Ban Se Fasil-e-shahr Tak Koi Sawar Bhi Nahin

ban se fasil-e-shahr tak koi sawar bhi nahin

kis ko biThaen taKHt par gard-o-ghubar bhi nahin

barg-o-gul-o-tuyur sab shaKHon ki samt uD gae

qasr-e-jahan-panah mein naqsh-o-nigar bhi nahin

sayon ki zad mein aa gain sari ghulam-gardishen

ab to kaniz ke liye rah-e-farar bhi nahin

maile libas ki dua pahunche shabih-e-shaKH tak

shahon ke paen bagh mein aisa mazar bhi nahin

kal hama-tan jamal the aaine hasb-e-haal the

sunte hain ab wo KHal-o-KHad aks ke par bhi nahin

(852) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ban Se Fasil-e-shahr Tak Koi Sawar Bhi Nahin In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Ban Se Fasil-e-shahr Tak Koi Sawar Bhi Nahin is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Ban Se Fasil-e-shahr Tak Koi Sawar Bhi Nahin for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Ban Se Fasil-e-shahr Tak Koi Sawar Bhi Nahin in PDF.