Barud Ke Badle Hathon Mein Aa Jae Kitab To Achchha Ho

barud ke badle hathon mein aa jae kitab to achchha ho

ai kash hamari aankhon ka ikkiswan KHwab to achchha ho

har patta na-asuda hai mahaul-e-chaman aaluda hai

rah jaen larazti shaKHon par do chaar gulab to achchha ho

yun shor ka dariya biphra hai chiDiyon ne chahakna chhoD diya

KHatre ke nishan se niche ab utre sailab to achchha ho

har sal ki aaKHiri shamon mein do chaar waraq uD jate hain

ab aur na bikhre rishton ki bosida kitab to achchha ho

har bachcha aankhen kholte hi karta hai sawal mohabbat ka

duniya ke kisi goshe se use mil jae jawab to achchha ho

(1226) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Barud Ke Badle Hathon Mein Aa Jae Kitab To Achchha Ho In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Barud Ke Badle Hathon Mein Aa Jae Kitab To Achchha Ho is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Barud Ke Badle Hathon Mein Aa Jae Kitab To Achchha Ho for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Barud Ke Badle Hathon Mein Aa Jae Kitab To Achchha Ho in PDF.