Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha

bayaban dur tak main ne sajaya tha

magar wo shahr ke raste se aaya tha

diye ki aarzu ko jab bujhaya tha

phir us ke baad aahaT thi na saya tha

use jab dekhne ke baad dekha to

wo KHud bhi dil hi dil mein muskuraya tha

dil-o-diwar the ek nam ki zad par

kahin likhkha kahin main ne miTaya tha

hazaron is mein rahne ke liye aae

makan main ne tasawwur mein banaya tha

jahan ne mujh ko pahle hi KHabar kar di

kabutar der se paigham laya tha

chale mallah kashti git ummiden

ki jaise sab ko sahil ne bulaya tha

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Bayaban Dur Tak Maine Sajaya Tha in PDF.