Har Ek Pal Ki Udasi Ko Jaanta Hai To Aa

har ek pal ki udasi ko jaanta hai to aa

mere wajud ko tu dil se manta hai to aa

wafa ke shahr mein ab log jhuT bolte hain

tu aa raha hai magar sach ko manta hai to aa

mere diye ne andhere se dosti kar li

mujhe tu apne ujale mein jaanta hai to aa

hayat sirf tere motiyon ka nam nahin

dilon ki bikhri hui KHak chhanta hai to aa

tu mere ganw ke hisse ki chhanw bhi le ja

magar badan pe kabhi dhup tanta hai to aa

(850) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Har Ek Pal Ki Udasi Ko Jaanta Hai To Aa In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Har Ek Pal Ki Udasi Ko Jaanta Hai To Aa is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Har Ek Pal Ki Udasi Ko Jaanta Hai To Aa for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Har Ek Pal Ki Udasi Ko Jaanta Hai To Aa in PDF.