Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai

hijr ke tapte mausam mein bhi dil un se wabasta hai

ab tak yaad ka patta patta Dali se paiwasta hai

muddat guzri dur se main ne ek safina dekha tha

ab tak KHwab mein aa kar shab bhar dariya mujh ko Dasta hai

sham-e-abad tak Takrane ka izn nahin hai donon ko

chand usi par garm-e-safar hai jo suraj ka rasta hai

tez nahin gar aanch badan ki jam jaoge raste mein

us basti ko jaane wali pagDanDi yaKH-basta hai

aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha

peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai

lafzon ka bewpar na aaya us ko kisi mahngai mein

kal bhi 'qasir' kam-qimat tha aaj bhi qasir sasta hai

(805) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Hijr Ke Tapte Mausam Mein Bhi Dil Un Se Wabasta Hai in PDF.