Humne To Be-shumar Bahane Banae Hain

hum ne to be-shumar bahane banae hain

kahta hai dil ki but bhi KHuda ne banae hain

le le ke tera nam in aankhon ne raat bhar

tasbih-e-intizar ke dane banae hain

hum ne tumhaare gham ko haqiqat bana diya

tum ne hamare gham ke fasane banae hain

wo log mutmain hain ki patthar hain un ke pas

hum KHush ki hum ne aaina-KHane banae hain

bhanwre unhi pe chal ke karenge tawaf-e-gul

jo daere chaman mein saba ne banae hain

hum to wahan pahunch nahin sakte tamam umr

aankhon ne itni dur Thikane banae hain

aaj us badan pe bhi nazar aae talab ke dagh

diwar par bhi naqsh wafa ne banae hain

(866) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Humne To Be-shumar Bahane Banae Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Humne To Be-shumar Bahane Banae Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Humne To Be-shumar Bahane Banae Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Humne To Be-shumar Bahane Banae Hain in PDF.