Jazbon Ko Kiya Zanjir To Kya Taron Ko Kiya TasKHir To Kya

jazbon ko kiya zanjir to kya taron ko kiya tasKHir to kya

wo shaKHs nazar bhar ruk na saka ehsas tha daman-gir to kya

kuchh bante miTte daere se ek shakl hazaron taswiren

sab naqsh-o-nigar uruj pe the aankhen thin zawal-pazir to kya

KHush hun ki kisi ki mahfil mein arzan thi mata-e-bedari

ab aankhen hain be-KHwab to kya ab KHwab hain be-tabir to kya

KHwahish ke musafir to ab tak tariki-e-jaan mein chalte hain

ek dil ke nihan-KHane mein kahin jalta hai charagh-e-zamir to kya

sahra-e-tamanna mein jis ke jine ka jawaz hi jhonke hon

us ret ke zarron ne mil kar ek nam kiya tahrir to kya

likhta hun to poron se dil tak ek chandni si chha jati hai

'qasir' wo hilal-e-harf kabhi ho pae na mah-e-munir to kya

(732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jazbon Ko Kiya Zanjir To Kya Taron Ko Kiya TasKHir To Kya In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Jazbon Ko Kiya Zanjir To Kya Taron Ko Kiya TasKHir To Kya is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Jazbon Ko Kiya Zanjir To Kya Taron Ko Kiya TasKHir To Kya for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Jazbon Ko Kiya Zanjir To Kya Taron Ko Kiya TasKHir To Kya in PDF.