Kahin Log Tanha Kahin Ghar Akele

kahin log tanha kahin ghar akele

kahan tak main dekhun ye manzar akele

gali mein hawaon ki sargoshiyan hain

gharon mein magar sab sanobar akele

numaish hazaron nigahon ne dekhi

magar phul pahle se baDh kar akele

ab ek tir bhi ho liya sath warna

parinda chala tha safar par akele

jo dekho to ek lahar mein ja rahe hain

jo socho to sare shanawar akele

teri yaad ki barf-bari ka mausam

sulagta raha dil ke andar akele

irada tha ji lunga tujh se bichhaD kar

guzarta nahin ek december akele

zamane se 'qasir' KHafa to nahin hain

ki dekhe gae hain wo aksar akele

(1614) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kahin Log Tanha Kahin Ghar Akele In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Kahin Log Tanha Kahin Ghar Akele is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Kahin Log Tanha Kahin Ghar Akele for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Kahin Log Tanha Kahin Ghar Akele in PDF.