Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla

kashti bhi nahin badli dariya bhi nahin badla

aur Dubne walon ka jazba bhi nahin badla

taswir nahin badli shisha bhi nahin badla

nazren bhi salamat hain chehra bhi nahin badla

hai shauq-e-safar aisa ek umr se yaron ne

manzil bhi nahin pai rasta bhi nahin badla

bekar gaya ban mein sona mera sadiyon ka

is shahr mein to ab tak sikka bhi nahin badla

be-samt hawaon ne har lahr se sazish ki

KHwabon ke jazire ka naqsha bhi nahin badla

(3209) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Kashti Bhi Nahin Badli Dariya Bhi Nahin Badla in PDF.