KHamosh The Tum Aur Bolta Tha Bas Ek Sitara Aankhon Mein

KHamosh the tum aur bolta tha bas ek sitara aankhon mein

main kaise na rukta chalne laga jab surKH ishaara aankhon mein

manzar mein kinaron se bahar dariya-e-mohabbat bahta hai

aur pas-manzar mein nile se aanchal ka kinara aankhon mein

har sal bahaar se pahle main pani par phul banata hun

phir chaaron mausam likh jate hain nam tumhaara aankhon mein

ab kahne wale kahte hain is shahr mein raat nahin hoti

ek aisa hi din tha wo chehra jab main ne utara aankhon mein

socha hai tumhaari aankhon se ab main un ko milwa hi dun

kuchh KHwab jo DhunDte phirte hain jine ka sahaara aankhon mein

(851) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

KHamosh The Tum Aur Bolta Tha Bas Ek Sitara Aankhon Mein In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. KHamosh The Tum Aur Bolta Tha Bas Ek Sitara Aankhon Mein is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem KHamosh The Tum Aur Bolta Tha Bas Ek Sitara Aankhon Mein for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download KHamosh The Tum Aur Bolta Tha Bas Ek Sitara Aankhon Mein in PDF.