Kitab-e-arzu Ke Gum-shuda Kuchh Bab Rakkhe Hain

kitab-e-arzu ke gum-shuda kuchh bab rakkhe hain

tere takiye ke niche bhi hamare KHwab rakkhe hain

makan to satah-e-dariya par banae hain hobabon ne

asase ghar ke lekin sab ne zer-e-ab rakkhe hain

ye kankar un se pahle hath par lahren bana lega

hamari rah mein chahat ne jo talab rakkhe hain

kinaron par pahunch kar tairne lagti hain taswiren

samundar ne safine to pas-e-girdab rakkhe hain

hamare ghar ki buniyaadon ke patthar kya hue aaKHir

kahin tufan ke TukDe kahin sailab rakkhe hain

tere aane se pahle jin ko murjhane ki jaldi thi

wahi patte hawa-e-hijr ne shadab rakkhe hain

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kitab-e-arzu Ke Gum-shuda Kuchh Bab Rakkhe Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Kitab-e-arzu Ke Gum-shuda Kuchh Bab Rakkhe Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Kitab-e-arzu Ke Gum-shuda Kuchh Bab Rakkhe Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Kitab-e-arzu Ke Gum-shuda Kuchh Bab Rakkhe Hain in PDF.