Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha

phir to is be-nam safar mein kuchh bhi na apne pas raha

teri samt chala hun jab tak samton ka ehsas raha

teri gali mein TuT gae sab jurm-o-saza ke paimane

ek tabassum dekhne wala sari umr udas raha

gulchin ke chehre ki rangat roz badalti rahti thi

ranj-o-KHushi ke har mausam mein phul ka ek libas raha

jin ki dard-bhari baaton se ek zamana ram hua

'qasir' aise fan-karon ki qismat mein ban-bas raha

(873) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Phir To Is Be-nam Safar Mein Kuchh Bhi Na Apne Pas Raha in PDF.