Phir Wahi Kahne Lage Tu Mere Ghar Aaya Tha

phir wahi kahne lage tu mere ghar aaya tha

chand jin chaar gawahon ko nazar aaya tha

rang phulon ne chune aap se milte julte

aur batate bhi nahin kaun idhar aaya tha

bund bhi tishna ababil pe nazil na hui

warna baadal to bulandi se utar aaya tha

tu ne dekha hi nahin warna wafa ka mujrim

apni aankhen teri dahliz pe dhar aaya tha

bhul baiThe hain nae KHwab ki sarshaari mein

is se pahle bhi to ek KHwab nazar aaya tha

(781) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Phir Wahi Kahne Lage Tu Mere Ghar Aaya Tha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Phir Wahi Kahne Lage Tu Mere Ghar Aaya Tha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Phir Wahi Kahne Lage Tu Mere Ghar Aaya Tha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Phir Wahi Kahne Lage Tu Mere Ghar Aaya Tha in PDF.