Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha

raat ka har ek manzar ranjishon se bojhal tha

chand bhi adhura tha main bhi na-mukammal tha

aankh ki munDeron par aarzu nahin larzi

ek charagh ki lau se ek charagh ojhal tha

ja mila tere dar ke gum-shuda zamanon mein

meri umr ka hasil pyar ka jo ek pal tha

kyun sulagti aawazen bhig bhig jati thin

dasht-e-na-rasai mein dhup thi na baadal tha

dur to na tha itna KHema us ke KHwabon ka

raste mein apni hi KHwahishon ka jangal tha

(1745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Raat Ka Har Ek Manzar Ranjishon Se Bojhal Tha in PDF.