Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha

raat us ke samne mere siwa bhi main hi tha

sab se pahle main gaya tha dusra bhi main hi tha

main muKHalif samt mein chalta raha hun umr bhar

aur jo us tak gaya wo rasta bhi main hi tha

sab se kaT kar rah gaya KHud main simaT kar rah gaya

silsila TuTa kahan se sochta bhi main hi tha

sab se achchha kah ke us ne mujh ko ruKHsat kar diya

jab yahan aaya to phir sab se bura bhi main hi tha

waqt ke mehrab mein jo be-sabab jalta raha

raat ne mujh ko bataya wo diya bhi main hi tha

KHud se milne ki tamanna par zawal aane ke baad

wo samajhta hai ki us ka aaina bhi main hi tha

(797) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Raat Uske Samne Mere Siwa Bhi Main Hi Tha in PDF.