Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The

shauq barhana-pa chalta tha aur raste pathrile the

ghiste ghiste ghis gae aaKHir kankar jo nokile the

KHar-e-chaman the shabnam shabnam phul bhi sare gile the

shaKH se TuT ke girne wale patte phir bhi pile the

sard hawaon se to the sahil ke ret ke yarane

lu ke thapeDe sahne wale sahraon ke Tile the

tabinda taron ka tohfa subh ki KHidmat mein pahuncha

raat ne chand ki nazr kiye jo tare kam chamkile the

sare sapere viranon mein ghum rahe hain bin liye

aabaadi mein rahne wale sanp baDe zahrile the

tum yun hi naraaz hue ho warna mai-KHane ka pata

hum ne har us shaKHs se puchha jis ke nain nashile the

kaun ghulam mohammad 'qasir' bechaare se karta baat

ye chaalakon ki basti thi aur hazrat sharmile the

(1276) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Shauq Barhana-pa Chalta Tha Aur Raste Pathrile The in PDF.