Wo Be-dili Mein Kabhi Hath ChhoD Dete Hain

wo be-dili mein kabhi hath chhoD dete hain

to hum bhi sair-e-samawat chhoD dete hain

jab un ke gird kahani tawaf karne lage

to darmiyan se koi baat chhoD dete hain

dua karenge magar us maqam se aage

tamam lafz jahan sath chhoD dete hain

diye hon itne ki KHwabon ko rasta na mile

to shahr apni riwayat chhoD dete hain

har ek shaKH pe jab sanp ka guman guzre

faqir kashf o karamat chhoD dete hain

jamal apne nazaron mein kho gaya ai dil

so us ki mez pe saughat chhoD dete hain

(964) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Be-dili Mein Kabhi Hath ChhoD Dete Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Wo Be-dili Mein Kabhi Hath ChhoD Dete Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Wo Be-dili Mein Kabhi Hath ChhoD Dete Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Wo Be-dili Mein Kabhi Hath ChhoD Dete Hain in PDF.