Wade YaKH-basta Kamron Ke Andar Girte Hain

wade yaKH-basta kamron ke andar girte hain

mere sehn mein jhulse hue kabutar girte hain

kahte hain in shaKHon par phal phul bhi aate the

ab to patte jhaDte hain ya patthar girte hain

KHun ke ye dhaare hum ne pahli bar nahin dekhe

lekin ab in dariyaon mein samundar girte hain

sun lete hain sargoshi ko chup mein Dhalte hue

chun lete hain tir jo apne barabar girte hain

zikr hamara hone laga ab aisa misalon mein

dariyaon ke ruKH pe bane ghar aksar girte hain

jaane kaise zalzale in aankhon mein aan base

parda uThne lagta hai to manzar girte hain

(784) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wade YaKH-basta Kamron Ke Andar Girte Hain In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Wade YaKH-basta Kamron Ke Andar Girte Hain is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Wade YaKH-basta Kamron Ke Andar Girte Hain for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Wade YaKH-basta Kamron Ke Andar Girte Hain in PDF.