Ye Jahan-naward Ki Dastan Ye Fasana Dolte Sae Ka

ye jahan-naward ki dastan ye fasana Dolte sae ka

mere sar-burida KHayal hain ki dhuan hai suni sarae ka

wo hawa ka chupke se jhankna kisi bhule bisre madar se

kahin ghar mein shahr ki zulmaten kahin chhat pe chand kirae ka

gil-e-mah ghumte chaak par kaf-e-kuza-gar se phisal gai

ki bisat-e-gardish-e-sal-o-sin yahi farq apne parae ka

mera nutq bhi hai nigah bhi meri shairi ka gawah bhi

teri dosti ke mahaz par wo larazta aks kinae ka

ki usi ke nam tak aae the ye sada-o-sidq ke silsile

wahi shaKHs jis ne tere liye kiya qatl sochti rae ka

(745) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Jahan-naward Ki Dastan Ye Fasana Dolte Sae Ka In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Ye Jahan-naward Ki Dastan Ye Fasana Dolte Sae Ka is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Ye Jahan-naward Ki Dastan Ye Fasana Dolte Sae Ka for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Ye Jahan-naward Ki Dastan Ye Fasana Dolte Sae Ka in PDF.