Yun To Sada-e-zaKHm BaDi Dur Tak Gai

yun to sada-e-zaKHm baDi dur tak gai

ek chaaragar ke shahr mein ja kar bhaTak gai

KHushbu giraft-e-aks mein laya aur us ke baad

main dekhta raha teri taswir thak gai

gul ko barhana dekh ke jhonka nasim ka

jugnu bujha raha tha ki titli chamak gai

main ne paDha tha chand ko injil ki tarah

aur chandni salib pe aa kar laTak gai

roti rahi lipaT ke har ek sang-e-mil se

majbur ho ke shahr ke andar saDak gai

qatil ko aaj sahib-e-ejaz man kar

diwar-e-adl apni jagah se sarak gai

(789) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Yun To Sada-e-zaKHm BaDi Dur Tak Gai In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Yun To Sada-e-zaKHm BaDi Dur Tak Gai is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Yun To Sada-e-zaKHm BaDi Dur Tak Gai for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Yun To Sada-e-zaKHm BaDi Dur Tak Gai in PDF.