Qahf-ul-qahat

pir-baKHsh building se pir-baKHsh ke marqad tak

apni hi baKHshish ki duaon ke karbzar se guzar kar aane wali

sar par guzishta mah o sal ke kitne hi thaal uThae

aaj bhi ek qabr-e-gum-gashta ka nishan aur apne madum kal ke liye KHitta-e-aman

ek sath DhunD rahi hai

us ke nange talwon se chhune wali tapish ki lahar lahar use apne

khilaunon se mahrum bachpan ke sath sath wo bahaaren bhi yaad dila jati hai

jab kisi an-dekhe jhonke se mahak uThne ki KHwahish mein us ke sapne

pas-e-diwar murjha gae aur us ke baal chambeli ke phul bante gae

aur phir us ki kalaiyon mein pahni hui jhurriyon mein talai chuDiyon

ke aks jhilmilane lage

abhi abhi ek be-tartib sahukar apne bikhre hue noTon

ko tartib dene ka jaan-gusil fariza sar-anjam dete dete thak gaya

mai maryam ne pahle to noTon mein muqayyad zaruraton se mulaqat

ki ek aur koshish ki

aur phir ek nazar aasman par Dali jaise wahan bhi koi rahta ho

us ki aankhon se nikalne ke liye be-tab hasraton mein se

kuchh to un goliyon ko bhi bhigo gain

jinhen apne larazte hathon mein lete hi use yaqin ho chala tha

ki aaj raat use koi dard nahin sataega

aur subh ko khansi ka daura bhi nahin paDega

magar kahan

bimariyan bhi aaj kal apne mizaj mein bahut be-niyaz ho gai hain

(760) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qahf-ul-qahat In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Qasir. Qahf-ul-qahat is written by Ghulam Mohammad Qasir. Read famous Poem Qahf-ul-qahat for youth and Student by Ghulam Mohammad Qasir. Free Download Qahf-ul-qahat in PDF.