Mujhko Gharib Aur Qaraz-dar Dekh Kar

mujh ko gharib aur qaraz-dar dekh kar

mujh se wo dur hai mujhe be-kar dekh kar

paidal hamein jo dekh ke katraate the kabhi

ab lift mangte hain wahi kar dekh kar

ushshaq sare mar gae un ke to dekhiye

pachhta rahe hain ab hamein bimar dekh kar

ab rahnumai karne se katra rahe hain sab

mashhur rahna ko sar-e-dar dekh kar

kal raat us ne baji bhi mashuq ko kaha

us ghar mein us ki amma ko bedar dekh kar

muflis tha jab gali mein bhi ghusne nahin diya

ab rishta de rahe hain wahi kar dekh kar

jab tum hasin the to kabhi baat tak na ki

ab ro rahe ho zof ke aasar dekh kar

nikla singhaar-KHane se tu ban sanwar ke yun

main Dar gaya tha kal tujhe ai yar dekh kar

achchha hai koi to kare aapas mein tank-jhank

kyun jal raha hai be-wajh tu pyar dekh kar

'wamiq' kabhi to hum bhi bahut hi sharif the

bigDa hai ye mizaj w-c-r dekh kar

(657) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mujhko Gharib Aur Qaraz-dar Dekh Kar In English By Famous Poet Ghulam Mohammad Vamiq. Mujhko Gharib Aur Qaraz-dar Dekh Kar is written by Ghulam Mohammad Vamiq. Read famous Poem Mujhko Gharib Aur Qaraz-dar Dekh Kar for youth and Student by Ghulam Mohammad Vamiq. Free Download Mujhko Gharib Aur Qaraz-dar Dekh Kar in PDF.