Diye Se Lau Nahin Pindar Le Kar Ja Rahi Hai

diye se lau nahin pindar le kar ja rahi hai

hawa ab subh ke aasar le kar ja rahi hai

hamesha noch leti thi KHizan shaKHon se patte

magar is bar to ashjar le kar ja rahi hai

main ghar se ja raha hun aur likhta ja raha hun

jahan tak KHwahish-e-didar le kar ja rahi hai

KHala mein ghaib ki aawaz ne chhoDa hai mujh ko

main samjha tha mujhe us par le kar ja rahi hai

mujhe us nind ke mathe ka bosa ho inayat

jo mujh se KHwab ka aazar le kar ja rahi hai

yahan par raat ko achchha nahin kahta hai koi

so apne kasa o dinar le kar ja rahi hai

tamashe ke sabhi kirdar mare ja chuke hain

kahani sirf ek talwar le kar ja rahi hai

(738) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Diye Se Lau Nahin Pindar Le Kar Ja Rahi Hai In English By Famous Poet Ghzala Shahid. Diye Se Lau Nahin Pindar Le Kar Ja Rahi Hai is written by Ghzala Shahid. Read famous Poem Diye Se Lau Nahin Pindar Le Kar Ja Rahi Hai for youth and Student by Ghzala Shahid. Free Download Diye Se Lau Nahin Pindar Le Kar Ja Rahi Hai in PDF.