Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne

kaha jhunjhla ke ahl-e-qafila se ek rahbar ne

abhi to pahli manzil hai abhi se kyun lage Darne

mukammal dastan ka iKHtisar itna hi kafi hai

sulaya shor-e-duniya ne jagaya shor-e-mahshar ne

sar-e-diwar-e-zindan chandni chhanti thi patton se

diya tha qaid mein kya lutf aisi shab ke manzar ne

zamane ki kashakash ka diya paiham pata mujh ko

kahin TuTe hue dil ne kahin TuTe hue sar ne

hain kitni muKHtalif baham tabae nasl insan ki

rahe mazur ab tak jo chale the tajziye karne

fida-e-rang-o-roghan sath-biin se kya gharaz us ko

jagah di jis ko chashm o dil mein har ek ahl-e-jauhar ne

(692) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne In English By Famous Poet Amn Lakhnvi. Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne is written by Amn Lakhnvi. Read famous Poem Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne for youth and Student by Amn Lakhnvi. Free Download Kaha Jhunjhla Ke Ahl-e-qafila Se Ek Rahbar Ne in PDF.