Baat Kuchh Bhi Na Thi Fasana Hua

baat kuchh bhi na thi fasana hua

meri ruswai ka bahana hua

thi ye KHwahish kahenge sab kuchh hum

un ke aage to lab bhi wa na hua

rose aati hai ek nai aafat

dil mera jab se aashiqana hua

kyun taDapta hai phir dil-e-muztar

kis bala ka ye phir nishana hua

tu ne chhoDa hai sath jab se nadim

hae dushman mera zamana hua

mar hi jaana tha hum ko to ek rose

un ki furqat magar bahana hua

aaj kahte hain bandh kar gaThri

gham ki 'maghmum' phir rawana hua

(772) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baat Kuchh Bhi Na Thi Fasana Hua In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Baat Kuchh Bhi Na Thi Fasana Hua is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem Baat Kuchh Bhi Na Thi Fasana Hua for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download Baat Kuchh Bhi Na Thi Fasana Hua in PDF.