Bahut Waqif Hain Lab-e-ah-o-fughan Se

bahut waqif hain lab-e-ah-o-fughan se

tabassum hai kahan laun kahan se

tasawwur bhul jata hai KHuda ko

ye Takraya hai jab aah-o-fughan se

yaqin hone ko hai mayusiyon par

tawaqqo uTh rahi hai aasman se

muqaffal ho zaban jis be-nawa ki

wo kyun kar kya kahe apni zaban se

kahe kuchh bhi magar pur-soz hoga

hamein ummid hai apni zaban se

ilahi KHair mere aashiyan ki

dhuan sa uTh raha hai gulistan se

kahin dhoka na ho 'maghmum' ye bhi

nazar aate hain kuchh dhundle nishan se

(670) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Bahut Waqif Hain Lab-e-ah-o-fughan Se In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Bahut Waqif Hain Lab-e-ah-o-fughan Se is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem Bahut Waqif Hain Lab-e-ah-o-fughan Se for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download Bahut Waqif Hain Lab-e-ah-o-fughan Se in PDF.