Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin

gila kya karun ai falak bata mere haq mein jab ye jahan nahin

kahun kaise haal-e-dil un se main meri hilti tak ye zaban nahin

ye bhanwar hain bahr-e-hayat ke main hun KHasta-haal-o-shikasta-o-dil

meri Dagmagati hai naw ab kahin milta mujh ko karan nahin

tujhe DhunDun bhi to kahan ki jab hun main KHud hi zulmat-e-yas mein

mujhe bazm-e-hasti mein mil saka tere naqsh-e-pa ka nishan nahin

gham-e-dil hi mera nikal do meri zindagi se jo tum agar

to wo dastan hi kuchh aur hai mere haal-e-dil ka bayan nahin

main sunaun kis ko ye haal-e-dil main dikhaun kis ko ye dard-o-gham

main hun aisi haalat-e-zar mein ki KHud apna mujh ko guman nahin

nahin git baada-o-jam ke yahan aur hi koi baat hai

ki main jis bala mein hun mubtala wo bala-e-ishq-e-butan nahin

tu hai zarre zarre mein zau-fishan nahin milta phir bhi kahin nishan

koi 'shaghl' ab ye batae kya tu kahan hai aur kahan nahin

(1005) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download Gila Kya Karun Ai Falak Bata Mere Haq Mein Jab Ye Jahan Nahin in PDF.