Jab Mili Un Se Nazar MiTne Ka Saman Ho Gaya

jab mili un se nazar miTne ka saman ho gaya

ai qaza KHush ho tera ab kaam aasan ho gaya

dilruba malum hoti hain mujhe tanhaiyan

naqsh har shai ka mujhe taswir-e-jaanan ho gaya

meri KHwahish thi ki luTun lazzat-e-duniya magar

wusat-e-hirs-o-hawa se tang daman ho gaya

baDh rahi hain qimaten har chiz ki bazar mein

ek aisa gham hai jo ab aur arzan ho gaya

shomi-e-qismat kahen ya KHaslat-e-insan ise

aa ke qabiz bazm-e-hasti par ye mehman ho gaya

shoala-zan hai dil yahan to dagh-ha-e-ranj se

aur wo kahte hain KHush ho kar charaghan ho gaya

dekh kar chaaron taraf aasar-e-gham aah-o-fughan

kya karun 'maghmum dil mera hirasan ho gaya

(726) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Mili Un Se Nazar MiTne Ka Saman Ho Gaya In English By Famous Poet Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Jab Mili Un Se Nazar MiTne Ka Saman Ho Gaya is written by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Read famous Poem Jab Mili Un Se Nazar MiTne Ka Saman Ho Gaya for youth and Student by Gorbachan Singh Dayal Maghmum. Free Download Jab Mili Un Se Nazar MiTne Ka Saman Ho Gaya in PDF.