Hasrat Ai Jaan Shab-e-judai Hai

hasrat ai jaan shab-e-judai hai

muzhda ai dil ki maut aai hai

tujh se maghrur ki jhuki gardan

phir bhi ek shan-e-kibriyai hai

us ne talwar ko sambhaala hai

dekhiye kis ki maut aai hai

phir gaya jab se wo sanam ba-KHuda

hum se bargashta ek KHudai hai

baat sidhi bhi wo nahin karta

kaj-adai se kaj-adai hai

aap ko jaanta hai aaina

saf ye us ki KHud-numai hai

tum mere kaj-kulah ko dekho

ye bhala kis mein mirzai hai

dil mein aata hai rah-e-chashm se wo

KHub ye rah-e-ashnai hai

male hasrat se hath dekh ke hur

ai pari teri wo kalai hai

shana us ka hai panja-e-KHurshid

wah kya panja-e-hinai hai

zahido qudrat-e-KHuda dekho

but ko bhi dawa-e-KHudai hai

hath pahuncha na pa-e-qatil tak

taleon ki ye na-rasai hai

kabe jaane se mana karte hain

kya buton ke hi ghar KHudai hai

husn ne mulk-e-dil kiya taraj

hazrat-e-ishq ki duhai hai

munh hai 'goya' ka us ka bosa le

baat dushman ne ye banai hai

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hasrat Ai Jaan Shab-e-judai Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Hasrat Ai Jaan Shab-e-judai Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Hasrat Ai Jaan Shab-e-judai Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Hasrat Ai Jaan Shab-e-judai Hai in PDF.