Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par

khol di hai zulf kis ne phul se ruKHsar par

chha gai kali ghaTa si aan kar gulzar par

kya hi afshan hai jabin o abru-e-KHamdar par

hai charaghan aaj kabe ke dar o diwar par

naqsh-e-pa panch-shaKHa qabar par raushan karo

mar gaya hun main tumhaari garmi-e-raftar par

chashm-e-bad dur aaj hai ye kaun gul-ru jhankta

chashm-e-nargis ka hai aalam rauzan-e-diwar par

na-tawan ka bhala kis munh se main shikwa karun

KHal hai yan mahr KHamosh lab-e-guftar par

hum azal se intizar-e-yar mein soe nahin

aafrin kahiye hamare dida-e-bedar par

kufr apna ain din-dari hai gar samjhe koi

ijtima-e-subha yan mauquf hai zunnar par

Thokaren khaega ek din sar-kashi itni na kar

o sar-e-be-maghz kyun bhula hai is dastar par

zulf us ki apne haq mein dekhiye kahti hi kya

hai hamara faisla ab to zaban-e-mar par

gar chaman mein hum se be-bargon ko ja deti nahin

KHar ki manind biThla den sar-e-diwar par

hai agar irfan ka talib KHaksari kar shiar

dekhte hain aaine aksar laga diwar par

abru-o-mizhgan se us ke dekhen dil kyunkar bache

ab to naubat aa gai hai tir aur talwar par

intiha-e-ishq mein di jaan main ne is liye

lala ba-sad dagh ugta hai mere kohsar par

rabta gar ghair se ho yar ko chahun main

main na bulbul hun ki marta hun gul-e-be-e-KHar par

dil jala aisa hun mera nam le baiTha jo wo

paD gae chhaale zaban-e-murgh-e-atish-e-KHwar par

uTh ke but-KHane se masjid ko agar jaega tu

saikDon TuTengi tasbihen tere zunnar par

haif ku-e-yar tak pahunchi na meri ustuKHan

muddaton aa kar huma baiTha raha diwar par

sukh jaen gar hamari aablon ki chhagalen

pas se kanTe nazar aaen zaban-e-KHar par

baad murdan bhi hai baqi meri nalon ka asar

tar-e-mutrib ka hai aalam har kafan ki tar par

teri aab-e-tegh se zalim jo ho tufan bapa

maut taDpi misl-e-mahi gumbad-e-dawwar par

KHat use itne likhe main ne ki wan bhar jawab

baiThe rahte hain kabutar saikDon diwar par

hashr tak mumkin nahin ab chamki tegh-e-aftab

baDa rakhwata hai zalim maghribi talwar par

kafsh-e-pa ki gul dikha kar hans ke yun kahne laga

sair ko kyun jaun gulshan hai mere bezar par

dekhiyo zid mere murgh-e-nama-bar ke waste

qainchiyan lagwain hain be-rahm ne diwar par

yar ko malum hota hai hijr mein soya nahin

KHat likhun goya bayaz-e-dida-e-bedar par

(969) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Khol Di Hai Zulf Kis Ne Phul Se RuKHsar Par in PDF.