Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai

kis qadar mujh ko na-tawani hai

bar-e-sar se bhi sargirani hai

chashm-e-tar se jo KHun-fishani hai

nawak-e-ishq ki nishani hai

sare quran se us pari-ru ko

yaad ek lafz-e-lan-tarani hai

jab hua rutba-e-fana fillah

gham nahin gar jahan-e-fani hai

hai har ek sher yar ki taswir

fikr apni KHayal-e-mani hai

kyun na hon aashiq-e-lab-e-jaanan

chashma-e-ab-e-zindagani hai

us ki raftar ke likhe hain jo wasf

kya meri taba mein aati hai

naseha aashiqi mein rakh mazur

kya karun aalam jawani hai

kis se dun us sanam ko main tashbih

kab KHudai mein us ka sani hai

na meri zaKHm par rakho marham

mere qatil ki ye nishani hai

sar kaTaenge shama san KHamosh

gar yahi apni be-zabani hai

hum nahin shama hon jo ashk-fishan

kar-e-ushshaq jaan-fishani hai

munh ne ghar mein mere rakkha us ko

ye bhi taid-e-asmani hai

dil bhi us se uTha nahin sakte

na-tawani si na-tawani hai

qad-e-mauzun ke ishq mein 'goya'

raat din shughl-e-sher-KHwani hai

(722) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai In English By Famous Poet Goya Faqir Mohammad. Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai is written by Goya Faqir Mohammad. Read famous Poem Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai for youth and Student by Goya Faqir Mohammad. Free Download Kis Qadar Mujhko Na-tawani Hai in PDF.