Jafa-e-dil-shikan

ye nai hai gardish-e-charKH-e-kuhan

dushman-e-jaan hai jafa-e-dil-shikan

wo bala aai gai hai dil pe ban

ab nahin hai hae ja-e-dam-zadan

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

pahle mahshar se qayamat aa gai

hashr ke sar par musibat aa gai

lab pe gardun ke shikayat aa gai

jaan par afsos aafat aa gai

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

luT gaya asbab chhoDa sab ne ghar

ab hai sahra-e-musibat ka safar

haal-e-bad par apne har dam hai nazar

is musibat ki na thi aslan KHabar

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

muflisi ki har taraf ab hai pukar

mal ko rote hain apne mal-dar

gham hai khane ke liye lail-o-nahaar

aab ki ja ashk de hai chashm-e-zar

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

panw mein juti na sar par hai kulah

tan hai uryan sari KHilqat hai tabah

hai falak ke zulm par sab ke nigah

KHasta-dil allah se hain dad-KHwah

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

hai qayamat ka namuna dekh lo

kuchh na beTe ki KHabar hai bap ko

bhai ki bhai ko kab hai justuju

bagh-e-alam mein nahin ulfat ki bu

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

farsh-e-gul ki ja hai bistar KHar ka

rang faq hai har jigar-afgar ka

sadma hai andoh ke aazar ka

dil fasurda-haal hai bimar ka

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

KHwab-ha-e-aish ko kya ho gaya

ye hi afsana hai kya tha kya hua

kya kiya tu ne ye charKH-e-pur-jafa

ye sitam tha ai sitamgar kab rawa

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

aah-bar-lab chashm-e-pur-nam zard rau

hai pareshani qayamat mu-ba-mu

hae hae ki sada hai chaar-su

KHak mein sab ki mili hai aabru

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

shahar tha ye sani-e-KHuld-barin

is chaman ke gul hue sahra-nashin

ho gai viran dehli ki zamin

is sitam par dil hai rota ai 'mubin'

pa-barahna ghar se nikle mard o zan

log dehli ke hain sare nara-zan

(861) Peoples Rate This

Gulam Dastgeer Mubeen's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Jafa-e-dil-shikan In English By Famous Poet Gulam Dastgeer Mubeen. Jafa-e-dil-shikan is written by Gulam Dastgeer Mubeen. Read famous Poem Jafa-e-dil-shikan for youth and Student by Gulam Dastgeer Mubeen. Free Download Jafa-e-dil-shikan in PDF.