Mauj-e-sarsar Ki Tarah Dil Se Guzar Jaoge

mauj-e-sarsar ki tarah dil se guzar jaoge

kis ko malum tha tum dil mein utar jaoge

chaar-su waqt ki gardish ki fasil-e-shab hai

bach ke is gardish-e-dauran se kidhar jaoge

aaina-KHane se daman ko bacha kar guzro

aaina TuTa to rezon mein bikhar jaoge

ek zara aur qarib-e-rag-e-jaan aao to

mere KHun-nab mein tum Dhal ke sanwar jaoge

dekho wo chand sisakta hai ufuq ki had par

tum bhi is chand ki manind guzar jaoge

is bhari bazm se hans-bol ke ruKHsat ho lo

kal jo uTThoge to ba-dida-e-tar jaoge

(711) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mauj-e-sarsar Ki Tarah Dil Se Guzar Jaoge In English By Famous Poet Gulam Jilani Asghar. Mauj-e-sarsar Ki Tarah Dil Se Guzar Jaoge is written by Gulam Jilani Asghar. Read famous Poem Mauj-e-sarsar Ki Tarah Dil Se Guzar Jaoge for youth and Student by Gulam Jilani Asghar. Free Download Mauj-e-sarsar Ki Tarah Dil Se Guzar Jaoge in PDF.