Mile Bhi Dost To Is Tarz-e-be-dili Se Mile

mile bhi dost to is tarz-e-be-dili se mile

ki jaise ajnabi koi ek ajnabi se mile

qadam qadam pe KHulus-e-wafa ka zikr kiya

adu mile bhi to kis husn-e-sadgi se mile

sitam karo bhi to andaz-e-munsifi se karo

koi saliqa to unwan-e-dosti se mile

teri talash mein nikle the tere diwane

har ek moD pe KHud apni zindagi se mile

wo log apni hi zanjir-e-pa ke qaidi hain

jinhen nishan-e-safar bhi teri gali se mile

chalo ki tark-e-talluq ki baat KHatm hui

na tum KHushi se mile ho na hum KHushi se mile

(752) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mile Bhi Dost To Is Tarz-e-be-dili Se Mile In English By Famous Poet Gulam Jilani Asghar. Mile Bhi Dost To Is Tarz-e-be-dili Se Mile is written by Gulam Jilani Asghar. Read famous Poem Mile Bhi Dost To Is Tarz-e-be-dili Se Mile for youth and Student by Gulam Jilani Asghar. Free Download Mile Bhi Dost To Is Tarz-e-be-dili Se Mile in PDF.