Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega

ashk aankhon ke andar na raha hai na rahega

ye tifl hai abtar na raha hai na rahega

munim na ho maghrur sada pas kasu ke

sim-o-zar-o-gauhar na raha hai na rahega

gar aish mayassar ho to kar lije kam-o-besh

sab waqt barabar na raha hai na rahega

aankhon se isi tarah agar sail rawan hai

duniya mein koi ghar na raha hai na rahega

jab duKHtar-e-raz le ke 'huzur' aa gaya saqi

phir zohd baradar na raha hai na rahega

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega In English By Famous Poet Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega is written by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Read famous Poem Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega for youth and Student by Gulam Yahya Huzur Azimabadi. Free Download Ashk Aankhon Ke Andar Na Raha Hai Na Rahega in PDF.