Shajar-e-ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki ShaKH Bhi Jal Gai

shajar-e-ummid bhi jal gaya wo wafa ki shaKH bhi jal gai

mere dil ka naqsha badal gaya meri subh raat mein Dhal gai

wahi zindagi jo bahr nafas jo bahr qadam mere sath thi

kabhi mera sath bhi chhoD kar meri manzilen bhi badal gai

na wo aarzu hai na justuju na koi tasawwur-e-rang-o-bu

liye dil mein dagh-e-gham-e-KHizan main chaman se dur nikal gai

teri chaal puri na ho saki tera war KHali chala gaya

zara dekh gardish-e-asman ki main girte girte sambhal gai

teri chahaton se sanwar gae ye mere jamal ke aaine

main gulab ban ke mahak uThi main shafaq ke rang mein Dhal gai

ye tilism-e-mausam-e-gul nahin ki ye mojaza hai bahaar ka

wo kali jo shaKH se gir gai wo saba ki god mein pal gai

wahi saat-e-gham-e-arzu jo hamesha dil mein basi rahi

hai KHuda ka shukr ki 'afrin' wo hamare sar se to Tal gai

(941) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shajar-e-ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki ShaKH Bhi Jal Gai In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Shajar-e-ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki ShaKH Bhi Jal Gai is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Shajar-e-ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki ShaKH Bhi Jal Gai for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Shajar-e-ummid Bhi Jal Gaya Wo Wafa Ki ShaKH Bhi Jal Gai in PDF.