Na Sath Dega Koi Rah Aashna Mera

na sath dega koi rah aashna mera

juda hai sare zamane se rasta mera

guzar ke aai hun main gham ke regzaron se

nazar udas hai dil hai dukha hua mera

na jaane kis liye qatil ke ashk bhar aae

faraaz-e-dar pe jab samna hua mera

dayar-e-jaan mein farozan rahegi sham-e-hayat

samajh liya teri aankhon ne muddaa mera

kiya hai pesh tujhe aansuon ka nazrana

hujum-e-sham-e-alam aur dil jala mera

wo saneha mere dil par guzar gaya 'gulnar'

har ek harf-e-dua be-sada hua mera

(816) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Sath Dega Koi Rah Aashna Mera In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Na Sath Dega Koi Rah Aashna Mera is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Na Sath Dega Koi Rah Aashna Mera for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Na Sath Dega Koi Rah Aashna Mera in PDF.