Na Puchh Ai Mere Gham-KHwar Kya Tamanna Thi

na puchh ai mere gham-KHwar kya tamanna thi

dil-e-hazin mein bhi aabaad ek duniya thi

har ek nazar thi hamare hi chaak-daman par

har ek saat-e-gham jaise ek tamasha thi

hamein bhi ab dar o diwar ghar ke yaad aae

jo ghar mein the to hamein aarzu-e-sahra thi

koi bachata hamein phir bhi Dub hi jate

hamare waste zanjir mauj-e-dariya thi

baghair samt ke chalna bhi kaam aa hi gaya

fasil-e-shahr ke bahar bhi ek duniya thi

tilism-e-hosh-ruba the wo manzar-e-hasti

faza-e-dida-o-dil jaise KHwab aasa thi

koi rafiq-e-safar tha na rahbar koi

junun ki rah mein 'gulnar' jada-paima thi

(788) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Puchh Ai Mere Gham-KHwar Kya Tamanna Thi In English By Famous Poet Gulnar Aafreen. Na Puchh Ai Mere Gham-KHwar Kya Tamanna Thi is written by Gulnar Aafreen. Read famous Poem Na Puchh Ai Mere Gham-KHwar Kya Tamanna Thi for youth and Student by Gulnar Aafreen. Free Download Na Puchh Ai Mere Gham-KHwar Kya Tamanna Thi in PDF.