Kisi Ki Yaad Ka Chehra

kisi ki yaad ka chehra

mere viran ghar ki adh-khuli khiDki se

jo mujh ko bulata hai

samay ki aankh se TuTa hua tara

jo akasr raat ki palkon ke pichhe jhilmilata hai

use main bhul jaungi

mulaem kasni lamha

kahin bite zamanon se nikal kar muskuraata hai

koi bhula hua naghma

faza mein chupke chupke phail jata hai

bahut din se kisi ummid ka saya

kaThin rahon mein mere sath aata hai

use main bhul jaungi

purani Diary ki shoKH tahriron mein

jo ek nam baqi hai

kisi manzar ki KHushbu mein rachi

jo rahat-e-gumnam baqi hai

adhure naqsh ki takmil ka

jitna bhi jo bhi kaam baqi hai

ye jitne did ke lamhe

ye jitni sham baqi hai

use main bhul jaungi

kisi ki yaad ka chehra

use main bhul jaungi

use main bhul jaungi

main akasr sochti to hun

magar wo yaad ka chehra!!

magar wo adh-khuli khiDki!!

(879) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kisi Ki Yaad Ka Chehra In English By Famous Poet Gulnaz Kausar. Kisi Ki Yaad Ka Chehra is written by Gulnaz Kausar. Read famous Poem Kisi Ki Yaad Ka Chehra for youth and Student by Gulnaz Kausar. Free Download Kisi Ki Yaad Ka Chehra in PDF.